opera
Menu
blogid : 2638 postid : 82

kale man ke raja

Raj Kumar
Raj Kumar
  • 97 Posts
  • 29 Comments

Ek bar ki baat hai. Ek raja wesh badal kar apni praja ki hal chal janne nikle. Grmi ke mousam men ghumte ghumte we bhatak gaye. Pyas se behal… We ek bagiche men pahunche. Wahan ke mali se pani manga. Mali bola, “jara thahariye! Main aap ko nimbu ka sharwat pilata hoon.”
Usne ek nimbu toda our use aadha kat kar aadhe bhag ko nichoda. Us aadhe bhag se ek lota nimbu ka rush nikala. Raja yah dekh kar dang rah gaye our sochana prarambh kiye…agar aadhe nimbu se etna rush nikal sakta hai to pure nimbu se kitna rush nikalta hoga. Yahan to nimbu ke anek ped hai. Es mali ko to esse bahut jayada amdani hota hoga. Kyon n espar jyada kar lagaya jaye! Raja man hi man men yah bat soch kar chal diya.
Dusre din phir o usi bagiche men pahunche our us mali se pyas lagne ki baat kahi.
Mali ne pichhle din wali prakriya duhraee kintu ye kya aaj to ek bund bhi rush nahin nikla. Dusra.. Tisra… Chaoutha… Kaee nimbu kate… Kintu aaj rush kisi se n nikla. Yah dekh kar raja bhi dang our mali bhi hairan.
Raja ne puchha,” Kya baat hai! Ek hi din men rush kaise sukh gaye?”
Mali bola,” Kya batayen janab! Lagta hai apne Raja ke man men koe Pap aa gaya hai esliye en phalon ke rush sukh gye!”
Raja jo wesh badle huye the man hin man apne wicharon ko taula our sharminda huaa Our kar n lagane ki baat thani. Praja ke bhalaee ke liye uchit kar our uchit parishramik dene ki nishchay kiye. Us din se usake rajy men din duni raat chouguni khushiyan ane lagi!

Tags:   

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh